Samny Manzil Thi Aur Piche Uski Awaz
Samny Manzil Thi Aur Piche Uski Awaz
Rukta To Safar Jata, Chalta To Bichar Jata
Maykhana Bhi Usi Ka Tha, Mehfil Bhi Uski Thi
Agr Peeta To Emaan Jata, Na Peeta To Sanam Jata
Saza Aisi Mili Mujh Ko, Zakham Aise Lage Dil Par
Chupata To Jigar Jata, Sunata To Bikhar Jata...
Qabar Ki Aghosh Me Thak Kar So Jati Hai Maa
Qabar Ki Aghosh Me Thak Kar So Jati Hai Maa
Tab Kahin Ja K Thora Sukoon Pati Hai Maa
Fikar Me Bachon Ki Kuch Is Tarha Ghul Jati Hai Maa
Naujawan Hote Hue Bhi Burhi Nazar Ati Hai Maa
Rooh K Jazbon Ki Ye Gehraiyan To Dekhiye
Chaut Hum Ko Lagti Hai Aur Chillati Hai Maa
Chahe Hum Khushiyon Me Maa Ko Apni Bhool Jaen Lekin
Jab Museebat Sir Pe Aye To Yaad Ati Hai Maa
Shukriya Ho Hi Nahi Sakta Kabhi Us Ka Adaa
Marte Marte Bhi Dua Jeeny Ki De Jati Hai Maa
Pyar Kehte Hain Kise Aur Mamta Kya Cheez Hai
Ye To Un Bachon Se Pucho Jin Ki Mar Jati Hai Maa...
Abhi Urooj Par Hai Tumhara Mosam
Abhi Urooj Par Hai Tumhara Mosam
Khizaan Me Tum Ko Khareed Lenge
Bano Ge Hum Se Rehem K Taalib
Na Tum Ko Mohlat Mazeed Denge
Adaa K Qissay Hue Purany
Jafa Ka Mosam Khatam Hi Samjho
Karenge Tum Se Hisaab Jana
Na Tum Ko Mohlat Mazeed Denge
Wafa Ki Lalach Me Hum Ne Jana
Khoon Apna Jala Diya Hai
Faraib-o-Masti K Badlay Tum Ko
Saza Bhi Sun Lo Shadeed Denge
Abhi Urooj Par Hai Tumhara Mosam
Khizaan Me Tum Ko Khareed Lenge...
Mere Dil Ko Aate Hain Khayal Kese Kese
Mere Dil Ko Aate Hain Khayal Kese Kese
Jane Wala De Gaya Hai Sawaal Kese Kese
Meri Manzil Ki Jaanib Koi Rahguzar Hi Nahi
Taqdeer Bunn Rahi Hai Ab K Jaal Kese Kese
Kabhi K Din Bary Kabhi Ki Raatain
Zindagi Ne Guzaar Diye Maah-o-Saal Kese Kese
Lamha Lamha Khamosh Rehna Lamha Lamha Udaas
Hum Ne Paal Liye Hain Wabaal Kese Kese
Humy To Pyar Faqat Us Ek Chehray Se Tha
Wagarna Dekhne Ko Hain Husn-o-Jamaal Kese Kese
Khamoshi Kisi Sawal Ka Jawab Kya Ho Akaash
Khamoshi Khud Paida Karti Hai Sawaal Kese Kese...
Apne Ehsaas Se Chu Kar Mujhe Sandal Kar Do - Wasi Shah
Apne Ehsaas Se Chu Kar Mujhe Sandal Kar Do
Me K Sadiyon Se Adhoora Hun Mukamal Kar Do
Na Tumhe Hosh Rahe Aur Na Mujhe Hosh Rahe
Is Qadar Toot K Chaho K Mujhe Pagal Kar Do
Tum Hatheli Ko Mere Pyar Ki Mehndi Se Rango
Apni Aankhon Me Mere Naam Ka Kajal Kar Do
Dhoop Hi Dhoop Hun Me Toot K Barso Mujh Par
Me To Sehra Hun Mujhe Pyar Ka Badal Kar Do
Is K Saye Me Mere Khawab Mehak Uthen Ge
Mere Chehre Pe Umeedon Bhara Aanchal Kar Do
Apne Honton Se Koi Mohar Lagao Mujh Par
Ek Nazar Pyar Se Dekho Mujhe Ghayal Kar Do...
Abhi Tum Ishq Mat Karna
Suno Larki...
Abhi Tum Ishq Mat Karna,
Abhi Guriya Se Khelo Tum,
Tumhari Umer Hi Kya Hai,
Faqat Satra Baras Ki Ho,
Abhi Masoom Bachi Ho,
Nahi Maloom Abhi Tum Ko,
K Jab Ye Ishq Hota Hai,
To Insan Kitna Rota Hai,
K Jab Sathi Bicharte Hain,
To Kitna Dard Hota Hai,
Sitary Toot Jate Hain,
Sahary Choot Jate Hain,
Abhi Tum Ne Nahi Dekha,
Wo Awazein Satati Hain,
Meri Nazmain Nahi Parhna,
Ye Mehshar Tak Utha Dengi,
Tumhain Pagal Bana Dengi,
Likhai Pakri Jati Hai,
Bari Ruswai Hoti Hai,
Kisi Ko Phone Mat Dena,
Sadaen Dil Dukhati Hain...
Suno Larki...
Meri Mano
Parhai Par Tawajjo Do,
Kitaabon Main Gulabon Ko,
Kabhi Bhoole Se Mat Rakhna,
Kitabain Jab Bhi Kholo Gi,
Ye Kanton Ki Tarha Dil Main,
Chubhain Ge Khoon Bahaen Ge,
Tumhe Pehron Sataen Ge,
Kisi Ko Khat Nahi Likhna,
K Har Furqat K Mosam Main,
Hazaron Gham Ubharte Hain,
Hazaron Zakhm Khulte Hain...
Suno Larki...
Meri Mano
Abhi Tum Ishq Mat Karna...
Muddat Hui Hai Yar Ko Mehmaan Kiye Hue
Muddat Hui Hai Yar Ko Mehmaan Kiye Hue
Dil Zid Pe Arh Gaya Wohi Armaan Liye Hue
Dil Mera Shikasta Hai Teri Baaton Se Phir Se
Is Raaz Ko Kehna Hai Yehi Raaz Liye Hue
Manind Bahar Hum Ne Guzara Hai Tera Sath
Ab Kaanton Pe Chalna Hai Wohi Gulzar Liye Hue
Us Lamha Qayamat Si Guzar Jati Hai Dil Pe
Us Raah Pe Thehrun Jab Wohi Maat Liye Hue
Sajdon Se Na Aahon Se Na Koshish Se Tu Hasil
Phir Tujh Ko Manana Hai Teri Baat Liye Hue
Jeeny Ki Wajah De Ya Marny Ka Bahana De
Is Aas Main Thehra Hun Yehi Aas Liye Hue
Anjum Ki Ye Fitrat Hai Kabhi Haar Na Many
Phir Fatah Ko Paana Hai Wohi Maat Liye Hue...
Baat Nikle Gi To Phir Door Talak Jaegi
Baat Nikle Gi To Phir Door Talak Jaegi
Log Be-Waja Udaasi Ka Sabab Puchen Ge
Ye Bhi Puchen Ge K Tum Itni Preshan Kiun Ho
Ungliyan Uthen Gi Sookhy Hue Baalon Ki Taraf
Ek Nazar Dekhen Ge Guzry Hue Saalon Ki Taraf
Chooriyon Par Bhi Kayi Tanz Kiye Jaenge
Kanpty Hathon Pe Fikry Bhi Kassy Jaenge
Log Zalim Hain Her Ek Baat Ka Tana Denge
Baaton Baaton Me Mera Zikr Bhi Le Kar Aenge
Un Ki Baaton Ka Zara Sa Bhi Asar Mat Lena
Warna Chehry K Ta'asur Se Samajh Jaenge
Chahe Kuch Bhi Ho Sawalaat Na Karna Un Se
Mere Bary Me Koi Baat Na Karna Un Se
Baat Nikle Gi To Phir Door Talak Jaegi...
Is Baar Phir Se Di Jo Mohlat Nayi Si Hai
Is Baar Phir Se Di Jo Mohlat Nayi Si Hai
Ye Zindgi Ki Mujh Pe Inayat Nayi Si Hai
Khush Bakhtiyan Meri Jo Dastak Di Khushi Ne
Is Lamha Mili Mujh Ko Ye Rahat Nayi Si Hai
Wo Ranj-o-Fikr, Gham K Zamany Guzar Gaye
Ab Hum Pe Zamany Ki, Inayat Nayi Si Hai
Her Soo Fiza Me Raqs Ka Manzar Hai Phaila
Rangeeniyon Se Rut Ki Ye Raghbat Nayi Si HaI...
Main Manta Hun Mujhse Khata Ho Gai
Main Manta Hun Mujhse Khata Ho Gai Magar
Us Ne Bhi Mujh Ko Maaf Na Kar K Ghalat Kiya
Uska Bichar K Jana Meri Maut Ban Gaya
ilzaam Mujh Pe De Gaya Mar K Ghalat Kiya
Uska Koi Qasoor Nahi Ajnabi Tha Wo
Chahat Me Uski Mene Utar K Ghalat Kiya
Wo Keh Raha Tha Door Teri Dastaras Se Hun
Mene Hi Aitemaad Na Kar K Ghalat Kiya
Ab Tak Samajh Raha Tha Mohabbat Hai Bandagi
Ab Mujh Ko Lag Raha Hai K Kar K Ghalat Kiya
Dekha Usy To Phir Se Khalish Dil Main Uth Gai
Mazher Gali Se Uski Guzar K Ghalat Kiya...
No comments:
Post a Comment